Sunday, February 13, 2011

HAPPY VALENTINE'S DAY Pyaar Ka Ek Din.......

pyaar chae jis umra me ho uska rang chokha hi hota hai.
pyaar apna kona dhoond hi leta hai. 





Har sacha premi ek amar prem ki kamna karta hai. har schcha premi apna pyaar premika ke dil me nahi balki uski aatma me basana chahta hai.




Hi! ye kashish aapki
aashiqui hai hamari
hum hai fida aap par 
ye deewangi hai hamari
najuk daur hai pyaar ka
zazbaaton ka utha sailaab hai
dhadkane ho rahi hai bataab
bas do dilon ke mil jaane ka intzaar hai....................

Pyaar ka anokhadin ji haan dosto yah wahi din hai jab har pyaar
karne wala ek doosre ko samjhe -bujhe bina hi bas dil ki awaaj ke kahe par chal deta hai. dil ne kaha yahi hai mera VALENTINE so hamare dil ne bhi maan liya ab kya? bus pyaar hi pyar............
pyaar ka phalsafa jisne samajh liya wah duniya ke ar bandhan se mukt ho jata hai. uski bas ek nayee duniya ban jati hai Pyaar ki....... jisme wah jeeta hai marta hai.waha ghum nahi khushiyaan hi khushiyaan hoti hai maan lo chupke se khushiyon ke beech kahi se koi ghum ka virus aa bhi jaye to ye prem deewane usse apne prem paas ke jaal me baandh kar khushiyon ki asha naam ke antivirus se scan mar dete hai. jaha pyaar ho waha ghum ka kya kaam? hum prem dewaane to bas khule aakash me apne prem ki udaan bharna jaante hai hum yah nahi dekhte ki koi prem panchhi swadesi hai videshi. kahte hai khushiyan rang- birangi na ho to fhiki lagti hai shayad khushiyon ke utshaah ko or prem ko vivah ke saat vachno ki tarha, saat janmo tak saath dene wali parampara ko hum in saat dino (Valentine week- rose day, propose day , chocholate day, teddy day, promise day, hug day, kiss day, valentine day ) me hi jeene ka trial lete hai yahi zindagi hai haste-khelte, pyaar bandte...
pyaar ka rishta to us ishwar ke jaap ki tarha hai jo SATYAM SHIVAM SUNDRAM hai. pyaar ke bandhan me bandhne wale sirf ek satya jaante hai ki pyaar se sabko jeeta ja sakta hai isliye har sacha premi ek amar prem ki kamna karta hai. har schcha premi apna pyaar premika ke dil me nahi balki uski aatma me basana chahta hai. waise to pyaar ki na hi koi bahasha hai or nahi koi umra ki seema is baat ka example-abhi haal me hi dekha gaya ji haan mai baat kar rah ahoon pushkat-sughandha vivah ki. inhone pyaar ki ek misaal pure samaz ke samne rakhi hai. mai to bas itna kahna chata hoon ki pyaar kahi bhi kaisa bhi ho wah apne liye dilon ke kone dhundh hi leta hai.pahle ke samay me bhi pyaar hua karta tha shayad vishwa ka pahla pyaar aadam or eid ke beech hua sochiye us samay pyaar ne apni jagah kaise banayiee hogi?pahle ke samay me bhi pyaar ka daur chalta tha pahle bhi hamare yahan junooni aashiqui hua karte they.unme kuch naam to sabhi jaante hai jaise-.....laila-majnu, heer-ranjha, sheerin-farhaan etc. in logo ne to apni jaan dekar bhi pyaar ko amar rakha or prem granth ke panno me apna naam sabse upar rakha jo kabhi bhavishya me mitaya nahi ja sakta hai.
phir ek samay aaya jab pyar chupke-chupke parwaan chadhte the us samay premikaye shrma or haya ke ghunghat me ya phir laaj ki chunri me apne pyaar ko chupaye prem kiya karti thi waqt badla, badlaw aaye ,prm badla .......or prem karne ke tarike bhi. mai jab kareeb 12saal ka tha tab shayad hi yah din manaya jata ho vastav me mujhe swayam bhi nahi pata ki yah din hamare desh me kitne samay se manaya jaa raha hai phir bhi jaha tak mai jaanta hoon meri yaadon ki dhoomil parto me isse abhi kuch hi saal huye hai hamare desh ki dahleez par aaye huyeyah wah din hai jab har premi apni premika or har premika apne premi ko duniya ki saari khushiyaan, saara pyaar de dena chahte hai. aaj ke din na jaane kitne premi ek doosre ko hamesha ke liye ane pyaar ke rishto me bandh lete hai. yah din, din ke saath nahi balki dino ke saath suru hota hai or romance se bhare pyaar ke ehsaas ke saath poore vishwa me naujawaan dilon ki dhadkano me samakar ek mithi si thandak ke saathkarodo-arbo dilon ki dhadkan kebeech simat kar rah jaata hai.hum naye-naye roop lekar hamesha pyaar ko zinda rakhte hai aatma me basa pyaar kabhi khatamnahi hota hai. wah janam-janmantar tak chalta rahta hai pyaar ko bhale hi hamare samaj ne izazat na di ho lekin phir bhi yah naujawaan dilon ki dhadkano me apni adbhut saaz ke saath barabar dhadkta sunayeee dega.    

No comments:

Post a Comment